Free Domain kese kharide or kese blogger se link kare?
free free free DOMAIN
Dosto agar apki koi website hai or aap us par apna domain
change karna chathe ho par apka pass itna budget or income source nahi hai ki
aap apni website ke liye koi domain kharid sake.Toh aap free domain le sakte
hai yeh simple domain hai lekin yeh small hote hai.Aap iss domain se aaram se
kaam chala sakte ho agar aap naye ho or apni website ka naam ko small rakhna
chathe ho.
free free free |
Kya yeh Domain sahi hai?
Yeh domain jese ki free hote hai toh premium domain jese ki
.com , .net, .in , .expert nahi milte.yeh domaqin simple hote hai lekin apka
kaam chal jayega.
Lekin yeh apke liye starting me bahut madat karenge jese
.blogspot.com jo ki apko apne blog par milta hai jo ki apke blog ke naam k show
ko kam karta hai or apki website ka address bhi lamba ho jata hai.Toh aap free
domain le sakte hai yeh do se teen words ke hote hai or apka website ka address
bhi small ho jata hai.
Koi hidden charges?
Yeh question bahut common hai kyu ki bahut si popular
website free domain deti hai lekin last me jab hum use waha se purchase karte
hai free me toh apko domain toh free me degi lekin apko uske liye unka koi plan
lene padega jese ki veh apko web hosting ke sath free domain denge ya fir koi
alag plan.
Toh aaj aap sikhenge ki aap apni website ke asani se free me
domain le sakte hai or na he isme koi hidden charges hai.
Domain Kese kharide free me?
Domain ko aap bahut he asan tarike se kharid sakte hai.Sirf
apko kuch steps ko follow karna hai.
·
Is ke baad apko apni gmail ki email id se sign
up kar lena hai.or ek baar sign up ke procedure ke baad website par wapas aana
hai or login kar lene hai.
·
Login karne ke baad apko home page par top side
par “Service” ka option milega. Uske
ander apko ek or option milega “Register
A New Domain”.
·
Fir aap ek page par redirect ho jayoge.Or apko
webpage ke centre me ek search bar dikhega, usme apko apna website ka naam
search karna hai.{ jese ki apki website ka naam hai shubham rathi } or check availability par click karna hai.
·
Apki screen par phir ek domains ki list aa
jayegi or usme paid + free dono domains show honge.List ke top par apko free
domain deklhne ko milege.
·
Apko fir Get
it now par click karna hai or uske baad Checkout par.
·
Or fir apko order complete karna hai.Complete
karne ke baad apko email par bhi ek notification mil jayega.
In step- ko follow kar kar aap apna domain register karwa
sakte hai.Lekin abhi procedure complete nahi hua hai abhi apko is domain ko
blogger se link karna hai.
Domain ko blogger me kese add kare?
Apko apne registered domain ko blogger me dalna hai.or us
domain ko verify karna hai. Uske baad he apka domain active hoga.Iske ki bahut
simple steps hai.
- Sabse pehle apne blogger me jaye oir basic setting me jaye.Usme apko apna blogger address dikhega or uske njiche lika milega set up thirdy party url.Or is par click kar dena hai. Uske baad apna url dalan hai.Lekin ek baat ka khas dhyan rakhna hai ki apko www. Apne url se pehle lagana hai jese ki www.shubhamrathi.com .Or apko koi or changes nahi karne jese ki missing file host ko apko by default no par rehne dena hai.
- Uske baad apko kuch codes dikhenge jo apko apne freenom ki DNS setting me dalna hai.
- Apko freenom ki website par jana hai or service section me mange domains me jana hai.phir apko Manage DNS me jana hai.
- Or apko apne blogger me name me left side hua www ko freenom me jakar name me left side paste kar den hai.or type ko cname karna hai
- Fir wapas blogger me right side me likha hua text apko freenom me right side paste karna hai.
- Wapas blogger me left side me dusra code freenom ke left side name section me paste karna hai .or type ko cname kar dena hai.
- Wapas blogger me apko dusra right side ka code freenom me right side destination or target section me paste kar dena hai.
- Iske baad apko freenom me apko right side ke section me type a kar dena hai or char or code dalna hai sirf right side me
212.239.32.21
212.239.34.21
212.239.36.21
212.239.38.21
· Or apko in recorde ko save kar dena hai.Agar
apka record successfully save ho jata hai toh bilkul thi hai hai.
Ek bar in procedure ke baad apko blogger par wapas aana hjai
or save karna hai.Or gar apka yeh save nahi hota hai to apko those der wait
karna hai {par apko window exit nahi karni} jese ki 2-10 minute.uske save karne
ke baad apka domain link ho gya hai.
Link hone ke baad agar apka domain nahi chalta toh apko wait
karna hai.isme apko hours bhi wait karna pad sakta hai lekin apka domain chal
jayega 100%guarantee.
Dosto kuch bhi poochna ho toh niche comment kijeye.
Leave a Comment